NH

Sitara Khuda ke huzoor me

Cover Image for Sitara Khuda ke huzoor me
Nasrul Hasan
Nasrul Hasan

Part 1 (July 7)

Us Chaand ke chahne wale bohot the is duniya me magar, Wo sitara unme se sabse alag ta.....

Toot chuka hai ab is gham ke tahat, Jise khwahish ti us chand ki jo uska ho na saka.....

Hota bhi uska wo kese, Jab wo sitara hi usse kuch keh na saka.....

Bujh gaya aur khatam ho gayi uski chamak, Aaalam e barzakh me ab wo ja pohocha.....

Fir Khuda ki Bargaah me usne ye arz kiya, Kami ti kya mere pyar me jo mujhe dekh ke wo pighal na saka?

Part 1 Complete....


Part 2 (Aug 22)

Sitare ne apne khuda se fir kaha, Aazmaish thi meri bohot sakht.. Aye mere rab mujhe iski kya jaza dega?

Maalik e Qa'ynaat ki awaz fir ayi, Maang jo chahta hai aj mujhse karunga tujhe mai har kuch ata.....

Maanga usne ek aur hayat, Aur sath hi mangi himmat bhi jo kar sake izhar mohabbat ka is dafa.....

Poori ho gayi uski ye dua, Ab wo chaand ke Qareeb fir se aa pahucha..... (To be continued.....)